Uski ankhon ko kabhi ghor se daikha hai Faraz
Zulf raton si hai rangat hai ujalon jaisi
par tabiat wohi hai bhoolnay walon jaisi
Ik zamanay ki rifaqat pe bhi ram-khorda hai
us kam aamaiz ki khu bu hai ghazalon jaisi
Dhoondta phirta hoon logon mein shabahat uski
ke woh khuabon mein bhi lagti hai khayalon jaisi
Kis dil azaar musafat se mein lauta hoon ke hai
aanso-on mein bhi tapak paoon ke chalon jaisi
Uski batain bhi dil awaiz hain surat ki tarah
meri sochain bhi paraishan mere balon jaisi
Uski ankhon ko kabhi ghor se daikha hai Faraz
sonay walon ki tarah jagnay walon jaisi
احمد فراز