♥ Welcome!!! All Registered Softwares Links On Demand ♥

Friday 16 November 2012

Ab Ke Ham Bichhare To Shaayad Kabhii Khvaabon Main Milain



احمد فراز

ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
 jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain

 dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
 ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain

 tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
 donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain

 Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
 nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain

 aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
 kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain 

 ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
 jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain